Tuesday, October 5, 2010

Kisi Ne kuchh banaya tha, kisi ne kuchh banaya hai...

Apologies for posting something that's not mine, but it's indeed one of the best things I've read in recent times. Prasoon Joshi wrote this on the occasion on Ayodhya decision declared by Lucknow bench of Allahabad High Court on 30th September 2010. Please read and appreciate.

Kisi ne kuchh banaya tha, kisi ne kuchh banaya hai
Kahin mandir ki parchhayi, kahin masjid ka saaya hai
Na tab poochha tha hamse, aur na ab poochhne aaye
Hamesha faisle karke, hamein yu nhi sunaya hai.

Hamein fursat kahan roti ki golayi k chakkar se,
Na jaane kiska mandir hai, na jaane kiski masjid hai,
Na jaane kaun uljhaata hai in seedhe sachche dhaagon ko,
Na jaane kiski saazish hai, na jaane kiske ye zid hai.
Ajab sa silsila hai ye, na jaane kisne chalaya hai,
Kisi ne kuchh banaya tha, kisi ne kuchh banaya hai.

Vo kehte hain tumhara hai, zara tum ik nazar daalo,
Vo kehte hain badho, mango, zaruri hai, na tum taalo,
Magar apni zarurat to hai bilkul hi alag isse,
Zara thehro, zara socho, hamein saanchon mein mat dhaalo,
Batao kaun ye shola mere aangan mein laaya hai,
Kisi ne kuchh banaya tha, kisi ne kuchh banaya hai.

Agar hindu mein aandhi hai, agar toofaan musalmaan hai,
To aao aandhi toofaan yaar banke kuchh naya kar dein,
To aao ik nazar daalein ahem se kuchh sawalon par,
Kayi kone andhere hain, mashalon ko diya kar dein,
Ab asli dard bolenge jo seeno mein chhupaya hai,
Kisi ne kuchh banaya tha, kisi ne kuchh banaya hai...

1 comment: